Hello friends Android mobile ki Brightness kam kaise kare ya Android smartphone ki brightness ko sabse kam kaise kare ye main aapko iss post me batane wala hu. Friends Android mobile me brightness kaise kam jayda karte hai ye to aapko pata hi honga agar nahi pata to main aapko bata deta hun aap mobile ki setting me jaker display par click kare waha brightness par click karke aap usse kam ya jayda kar sakte hai. Lekin friends iss post main aapko android mobile me brightness ko sabse kam kaise karte hai ya eyes protect kaise karte hai usske bare me batane wala hu.
Eys protect rakne ki liye Android mobile ki kitni brightness honi chaiye
Friends aaj-kal bhut se log Android mobile ka use karte hai. Lekin in mobile ke jayda use se kabhi kabhi eyes bhi kharab ho jati hai. Jiase eyes me pain ho sakta hai, eyes me glasses lag sakte hai etc. Issliye agar aap apni eyes ko protect rakhna chahate hai to aapke mobile ki brightness ko kam hi rakhna chaiye. Aap mobile me 40-50% tak brightness rakh sakte hai. Lekin eyes ki safety ke liye itna hi kafi nahi hai.
Android mobile ki brightness kam karke eyes protect kaise kare.
Android mobile se eyes protect karne ke main yaha aapko 2 apps bata raha hu jinhe aap asani se use kar saket hai
Android mobile ki brightness sabse kam karne ke 2 apps-
1.Night mode
Night mode Android appka use karke aap asani se apne phone ki brightness ko kam kar sakte hai or apni eyes ko protect kar sakte hai. Sabse pahle yaha click kare or night mode download kare.
Ab aapko iss app ko open karna hai issme aap jirne leval tak brightness kam karna chahate hai vo select kare or start par click karde iss tarah aap asani se apne phone ki brightness kam kar sakte hai.
2. Eye protector
Jis tarah iss app ka naam eye protector hai usi tarah ye app eyes ko protect bhi karta hai iss app ko download karne ke liye yaha click kare ab isse open kare ab aap issme night mode par click kar sakte hai isse aapke mobile ki brightness bhut kam ho jaygi.. and aapki phoen ki battery bhi kam use hogi,
Iss tarah friends aap in apps ka use karke apne phone ki brightness kam karne ke sath sath eyes ko protect bhi kar sakte hai. or isska sabse badha fayda ye hai ki aapke android smatphone ki battery label bhi isse jayda use nahi hota hai. yani phone ki battery jaldi discharge nahi hoti hai .
Friends agar aapko ye post accha lage to comment karke jarur bataye or aap essi or bhi post read karna chahate hai to blog ko subscribe kare or post social networking site par share karna na bhule.. or aapko iss post me kuch samajh na aaya hoya aapka koi question iss post ya other post se realated hai to vo bhi commnent me jarur bataye.
No comments:
Post a Comment