Friends Truecaller search se apna naam or number kaise hataye ya truecaller se apna number unlist ya remove kaise kare, isske bare me aapko iss post me bataunga, issliye puri post padhe. Truecaller ek very popular app hai, iss app se aap kisi bhi unknown number ka asani se pata laga sakte hai, iss app ke bhut se features hai, jo aapke bhut kaam aa sakte hai, iss app ke konse features hai, ye jaanne ke liye yaha click karke post padhe.
Truecaller se apna number kyo unlist ya remove kare
iss app se apna number unlist karne ka main reason(karan) hai- privacy.
Iss app se koi bhi aapka number pata laga sakta hai, or aapko baar baar call karke paresan bhi kar sakta hai, ya aap apna number private rakhna chahate hai, to iss app se kisi ko aapka number pata chal asani se chal jata hai. Or aapki number ya naam ki privicy khatam ho jati hai. Issliye jaruri hai ki hum iss app se apna number unlist ya remove ya delete kar de.
Truecaller app search se apna naam or number unlist ya remove kaise kare ?
agar aapke Android mobile me pahle se truecaller app install hai, to aapko apna account iss app se deactivate karna hoga, agar aapke Android mobile me pahle se ye app install hai to niche diye 1st or 2nd dono method ko follow kare. Or agar aapke Android mobile me pahle se ye app install nahi hai. To aap sirf 2nd method ko hi follow kare.
Method-1
* Sabse pahle apne Android mobile me trucaller app open kare or ek icon par click kare
- Setting par click karne ke baad aapko about par click karna hai.
- Ab aapko deactivate account option dikhega ab uss par click karke, ‘yes’ par click kar de.
Ab aapka aapka account deactive ho gaya hai.
Method-2
- Sabse pahle niche go to the link par click kare.
- Ab aapke samne ek webpage open hoga, yaha par aapko ek form dikhega, iss form ko aapko sahi se fill karna(bharna) hai.
1. pahle option me aapko apna mobile number dalna hai with country code, agar aap india se hai to aap +91 or apna 10 ank ka mobile number dale.
2. reason me aapko koi bhi reason select kar sakte hai.
3. then captacha code enter kare.
4. ab unlist option highlight ho jayga, ek bar fir se check kar le aapne sab kuch sahi dala hai, fir unlist par click kar de.
ab aapka naam or number truecaller app search se remove ho chuka hai. Ab koi bhi aapka number search karega to usse aapka number or naam pata nahi chalega.
friends aapko iss post me kuch samaz na aaya ho ya aapko kisi other post se related koi question puchna ho to comment karke jarur bataye or aapko ye post acchi lage to isse apne dosto ke sath bhi share kare niche share button par click karke. Or aap essi or bhi post padhna chahate hai to abhi iss blog ko subscribe kare or latest post updates ki information apne email par paaye.
No comments:
Post a Comment