Hello friend mai is post me AdSense ke bare me btane wala hu,Google AdSense kya hai or use kab apply karte hai.Kyo ki mai aaj tak iske bare me jankari jade nahi share kiye hai. Par kuch din pahle mera adSense account approved ho gya to mai socha hu kyun na apne visitors ko ye latest jankari du, kaise blog ya website par kam kare aap jisse apka adSense successfully approved ho jaye, Kyoki iska anubhav mujhe ho gya hai. Par agar aap new blogger hai or apke post or keyword copyright use huaa hoga to aap ka account sayd approved nahi ho,
Google AdSense Kya Hai or Kaise Kaam Karta Hai
AdSense google company ka ek bahut bara product hai jise hum sab apne blog website youtube channel par laga kar monetize kar sakte hai or aise paise rupye kama sakte hai. Yeh ek bahut hi aasan or simple tarika hai paise kamane ke,
Adsense kaise kaam karta hai
Agar aapke pass blog website youtube channel hai to aap huye publisher or jo visitor aap ki site par aate hai use kaha jata hai traffic.
Aur jo company vigyapan ads dikha kar apke traffic tak pahuchna chate hai use kehte hai advertiser,
Phir advertiser jo hote hai google adsense ki madhyam se apke blog website channel par ads dikhate hain jiske liye oh adsense ko paise dete hai, Phir unme se kuch paise kaat kar aapko baki ke paise de deta hai
Example:- Man lijiye advertiser 2000 ads display hone ke liye 6$ leta hai to uske se adsense kuch kaat kar jaise 2$ liya to or baki publisher ko deta hai,
Paise aisa koi jaruri nahi hai mai bas aap ko samjhne ke liye bataya hu, Sach baat to yeh hai advertiser kitne paise dete hai ye bahut chijo par depend karta hai ki site kis desh me or kis topic par hai ye koi fix nahi hota hai
Lekin google sabse jade paise publisher ko deta hai or ye sab kuch depend karta hai aapki traffic kaha se hai kitna traffic hai.
Internet Se Kaise Rupee Kamaye? Earn Make Money Online in Hindi
Kya Google Adsense Free Hai
Google adsense bilkul free hai iske liye aapko koi paise nahi dene hote hai balki google aapko paise deta hai, Par ise liye koi jaruri nahi ki sabko yeh account mil jaye iske agar apka traffic unke term and condition ko follow karti hongi to mil sakte hai. Humne pahle hi google adsense approval karne ke liye best idea bataya hai agar aap is sabko ache se follow karte hai to apka account jarur mil jayega Padhiye best idea kya kya hai, Kyo ki adsense ke rule bahut hi sakt hote hai. agar adsense ke privacy policy padhna chahe to padh sakte hai, Maine apne ek post me ise top reson bataye ji account block ya disapproved ho jate hai.
No comments:
Post a Comment