Hii friends Ek Android phone ko dusre phone se remotely control kaise kare ye main aapko iss post me batane wala hu. Friends agar aap apne mobile se dusre mobile ko control karna hai to asani se iss post ko pura read karke kar sakte hai. Yaha main aapko ek nahi balki 5 top apps ke bare me batunga jinhe use karke aap apne phone ko dusre phone se remotely access kar payege. Computer se mobile, computer se computer ya mobile se computer ko control karne ke bare me aapne bhut jagah padha hoga lekin bhut se logo ke pass pc nahi rahta hai and android mobile sabhi logo ke pass rahta hai issliye aaj main aapko android ki hi trick batane wala hu jiska use karke aap asani se apne ek android phone ko dusre phone se remotely connect kar sakege.
Remote control technology kya hai ?
Isse aap apne mobile se dusre ka mobile control( niyantran) kar sakte hai. Aap apne mobile se dusre phone ko switch off, restart, file share, photos video view yani fully us phone ko access kar sakte hai. remote control technologyme aapka sara data server par upload ho jata hai or aap asani se dusre device ko access kar pate hai. Ab aap soch rahe honge ki agar aapka sabhi data upload ho jata hai to ye secure rahta hai ya nahi to main aapko batana chahunga ye fully secure hai and aapka data puri taraf safe rahta hai. Jab aapka mobile dusre mobile se remoataly connect ho jata hai tab aap jo bhi apne mobile me app ya kuch bhi use karte hai vo us mobile me bhi hota hai. Isse aap apne phone ko kahi se bhi access kar sakte hai.
Ek Android Phone ko dusre Android phone se Remotely Control kaise kare- top 5 apps
Google play store par aapko ek phone se dusre phone ko control karne ke bhut si apps mil jayegi lekin yaha main aapko jo apps bata raha hu. Vo sabhi working app hai. Jinka use karke aap ek smartphone ko other smartphone se easily access kar sakte hai. Yaha main aapko 5 best apps ke bare me batane wala hu. Inme se kisi bhi 1 app ka ise karke aap apne phhone ko remoately control kar sakte hai.
Ek Android mobile ko dusre android mobile se remotely access karne ke 5 best apps in hindi
1. Team viewer
Team viewer ek best app hai jisse aap kisi bhi device ko remotely control kar sakte hai. Issme aapko acchi security milti hai and aapka data spy hone ka khatra nahi hota. Team viewer ka interface bhut accha and easy hai jo aapko easily samaz me jayga. Isska use karne ke liye aapko apne dono phune me team viewer download and install karna hoga issko direct download karne ke liye niche team viewer par click kare.
Ab aapko issme username and password dalkar login karna hai fir aapko team viewer id milegi. Iss id ko aapko dusre phone jisse aap remotely control karna chahate hai usske team view id me dalna hai. Iss tarah aap asani se team viewer ka use karke us device ko access kar payenege.
2. An2An remote
Ye bhi ek bhut accha app hai issme aap ek android device se dusre android device ko control karne ke sath computer ko bhi acces kar sakte hai. Issme aap bluetooth or wifi ka use karke kisi bhi device se other device ko remotely access kara sakte hai. Computer me an2an ka use karke aap mouse ki tarah bhi isska istemaal kar sakte hai. An2an app download karne ke liye niche an2an par click kare.
3. Aio remote
Aio remote se aap PC, Another Android, Tablet. Windows,Linux, Mac etc ko remotely access kar sakte hai isme bhi aap wifi or Bluetooth ka use karke sabhi device ko remotely access kar sakte hai. Issme aapko bhut se feature milte hai. Issme aap kisi bhi file ko browse kar sakte hai. Computer me keyboard or mouse ki tarah use kar sakte hai. Or ye multi touch ko bhi support karta hai. issko download karne ke liye niche aio par click kare.
4. Join by joao android app
Join by joao app se aap ek sath ek se jayda android mobile bhi connect kar sakte hai issme aapko ek link milta hai ya generate karna hota hai jispar click karke aap kisi ko bhi join kara sakte hai or uska device access kar sakte hai ye ek accha app hai issme aap computer mobile window kisi bhi device ko access kar sakte hai.
5. Tablet remote
Ye bhi ek badiya app hai jisse aap another android ke sath tablet ko bhi control kar sakte hai. Issme aap kisi bhi tablet ko dusre tablet ya Android phune se remately connect kar sakte hai. Tablet remove ko aap wifi bluetooth internet se use kar sakte hai. Issme aap other device ko remotely control karne ke liye command use kar sakte hai jaise- “Play”, “Next”, “Previous etc. isse download karne ke liye niche tablet par click kare.
I hope friends aapko ye post accha laga isse apne dosto ke sath social networking site par jarur share kare or aapko iss article me kuch samaz na aaya ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi allhindihelp site ko subscribe kare or latest post ki information apne email par received kare.
No comments:
Post a Comment