Free Website or Bloggger Par New Blog Kaise Banaye? (Complete Guide in Hindi) - Hindi 2 Help - Internet Ki Puri Jankari Hindi Me !

Breaking

Back to Top

Friday, 24 May 2019

Free Website or Bloggger Par New Blog Kaise Banaye? (Complete Guide in Hindi)


Image result for Blogger Par New Blog Kaise Banaye Full Guide?

Aaj es article me Blogger par naya Blog banana shikhege, aap jante hai Blogger par Blog kyo banate hai. Blogger par Blog banane se kya fayda & nuksan hai, aaj ham esi ke baare me discuss karne wale hai.

Blogger Platform Kya Hai?

Blogger free Website banane ka platform hai, Blogger Google ka product hai. Bloggger par Website banane ke liye aapko Domain, Hosting kharidane ki jarurat nahi padti hai.
Blogger platform puri tarah se free Website banane ke liye provide karta hai.
Jinke pass paid Website banane ke liye paise nahi ho pata, weh log Blogger par hi free Website banate hai. Waise bhi bahut se Bloggers, Youtubers Blogger ka use karte hai.

Blogger Par Blog Banane Se Fayda & Nuksan Kya hai?

Fayda: Blogger par Blog create karke ham ek dusare ka Online madad kar sakte hai, aur ham Google Adsense ke Advertisement ko apne Blog par lagakar paise bhi earn kar sakte hai.
Nuksan: Blogger ka koi galat upyog karte hai, toh uska website, Blog Google block kar deta hai. Aapko malum hoga aapne jis Blogger platform par Blog banaya hai, wah Google ki property hai.

Blogger Par Blog Banane Ke Liye Sabhi Step Follow Kare.

Step 1. Blogger platform par naya Blog babane ke liye Gmail Ki Email I’d chaiye. Kewal Gmail ke hi Email I’d se Blogger par Blog bana sakte hai.
Sabse pehle Blogger ki official website www.blogger.com par jakar apne Gmail & Password ko fill up karke SIGN IN kare.
Step 2. Aap first time apne Email I’d se Blog create kar rahe hai, toh Blogger account me SIGN IN hone ke baad Google+ Profile & Blogger Profile me se kisi ek ko select karne ke liye pucha jayega jisme aap simply “Blogger Profile” ko chune.
Step 3. Uske baad apne Blogger Profile ka jo naam dena chahte hai, usko Display Name me fill up karke “Continue To Blogger” par click kare.
Step 4. Fir “check out your simplified Blogger dashboard” ka Pop Up page khulega jise simply “Got it” kare uske baad “CREATE NEW BLOG” par jaye.
Image result for Blogger Par New Blog Kaise Banaye Full Guide?
Step 5. Next “Blogs List › Create a new blog” form ka page khulega, jisme Blog ka Title, Address (Website Domain Name) & Theme ko select karke “Create blog!” par click kare.

Image result for Blogger Par New Blog Kaise Banaye Full Guide?

Step 6. Create blog! par click karte hi Blog Create ho jayega, ab “View blog” karke Blog ko dekh sakte hai.

No comments:

Post a Comment