Friends aap sabhi ke pass computer ya laptop hoga. Jisse bhut se software honge. Lekin kya aapko pata hai. Ki aapke computer me konsa software kis version me hai. Agar aapko nahi pata to ye post padhkar aap asani se samaz jayege ki trial full version or crack software kya hote hai.
Computer me trial version, full version or crack software kya hote hai – full detail
1. Trial version software kya hai
bhut si company apne software ka promotion karne ke liye user ko uska trial deti hai. Trial ka matlab hota hai ki paid software(paise wale software) ko kuch din free me use kar sakte hai jaise 1 ya 2 months tak. Lekin issme company bhi apna promotion karti hai. Jaise agar aap video editing ke liye wondershare video editor download karte hai. To vo aapko trial me milta hai. Jisme agar aap video edit karte hai. To usme wondershare ka logo show hota hai. Or aap us video jo aapne wonder share se edit kiya tha kahi use karte hai. To wondershare software ka free me advertisement ho jayega iss company apna free me promotion kar legi. Iss trial version software ki limit rahti hai use karne ki. Or ye 1 se 2 months me expire ho jate hai.
2. Full version software kya hai
full version jaisa naam se hi pata chalta hai ki in software ko hum puri tarah se use kar sakte hai. inki 2 category hoti hai.
Free full version software-bhut se software esse hote hai jinhe unke founder(nirmata) free rakhte hai. Jaise google crome, mozila firefox, picasa etc jo hume free me full activated mil jate hai.
Seriel key dalkar software ko full version ya full activate karna- agar aap kisi trial software ko full version karna chahate hai to aap asani se kar sakte hai, kisi bhi trial version me aap serial key dalkar usse full version bana sakte hai.
3. Crack software- crack matlab trial verson ko crack kar dena kisi software ki madad se. Crack matlab software ki expiry date change kar dena ya usko full activate kar dena bhi hota hai trial verision software ko kaise crack karte ye janne ke liye aap meri post padhe. Internet par essi bhut si site hai jinse aap antivirus pc games emulator etc ko crack version me download kar sakte hai.
Ab aap samaz gaye honge ki computer me trial, full, or crack software kya hai.
Friends aapko ye post acchi lage to isse apne dosto ke sath bhi share kare or aap essi or bhi post padna chahate hai to humare blog ko subscribe kare and aapko iss post me kuch samaz me na aaya ho to comment karke jarur bataye…
No comments:
Post a Comment